Thursday 18 December 2014

Kya Mumkin hai ? - A Best Love Poem

 KYA MUMKIN HAI

Chup ho tum, dil gumsum hai,
Kuch to kaho, hum tum hai,
Keh do jo dil mein hai,
Pyaar hamara kya mumkin hai?

Ek jawab mujhe tum iska do,
Dil ka haal ab bata do,
Intezaar bahut hi mushkil hai,
Milna ab kya mumkin hai.

Mein chahta hu pyaar tera,
Jeevan bhar ka saath tera,
Itna mujhko to keh do,
Sangam apna kya mumkin hai.

Bayaan kar haal-e-dil,
Ya mila le dil se dil,
Mujhko kuch to samjha,
Beech hamare kya mumkin hai.

No comments:

Post a Comment